Thursday, July 26, 2007

akela kewal

Mujhe jo chaiye who eek baar rooj
Dastak jaroor de jata hai
Meri jo ichha hai who eek baar rooj
Mere paas baith hi jata hai

Khwabo ke is bawandar me hanmesha
Dhundta rehta hun aapne aapko
Aapni hi aahat sun kar aaj]
Chupa leta hun aapne aapko

Yuhi gujar jayegi ye raat
Suna na tha kabhi,Kutch na kutch
to de jayegi ye raat, sayed kabhi kabhi
gine cune khayalo ke saath hun main yaha lekin
fir bhi main akela sa kyu hun

halki si rooshni ke neeche baitha hun
aashao ka deep jala rakha hai
kitni bheed hai yaha aaj lekin
fir bhi main akela sa kyu hun

madyan si raftarr se yah chalta chaand
kehna kya chata hai
suni ansuni bato pe ye fir
kyun yakeen dilana chata hai hai mujhe

inko harpal mehsus karta main aaj
deekhta hun rooshni iinme bhi kabhi
gher rakha hai insabne mujhe aaj lekin
fir bhi main akela sa kyun hun

chadti utarti iin khamosh hawao ke saath
yuhi pal gujarne ki jo baat
chui anchui bhawnao me hi ye khush
beet jayegi sayeed aaj ki ye raat

iss rooshni ke uss chod tak
beech me andhere ka saath
itna saab kutch hain yaha aaj lekinn
fir bhi main akela sa kyu hun

samundr ki lehro sa laga
kabhi bahut teej to kabhi eekdam saant
aapne aandar kitni aankahi batte chupaye
baitha ye mann chup chap aaj ki raat
muhti me band ye hawaye
reet ki tarah fiasalt asamay
aaur kitni hi aadhe adhure sapne
inn sabke saath hun main yaha aaj lekin
fir bhi main akela sa kyu hun

aakhon me nami jo bhar aati hai
auur hotho pe ye hasi , jo kabhi nahi jaati hai
iin saabke saath main khel khelta
yuhi baitha hun bass aaaj ki raat

titar bitar, idhar udhar pada main aaj
sametta hua haar pall ko yuhi
saanse lene ki fir who nakaam koshish

kitna khush hun main aaj lekin
fir bhi main akela sa kyu hun.